Hindi Quote in Story by Nisha Rajput.

Story quotes are very popular on BitesApp with millions of authors writing small inspirational quotes in Hindi daily and inspiring the readers, you can start writing today and fulfill your life of becoming the quotes writer or poem writer.

ek din me yuhi tahlne k liye bahar gaadi lekar nikal gyee mosam badaa suhana tha to socha long drive hi kar leti hu or jaate samay maine raste me ek bachhe ko dekha jise dekhkar me kafi pareshan ho gyee kyuki us bachhe ko kuchh din pahle maine well position me four wheeler se jaate dekha but ab vo ladka bilkul change tha look like garib sa ye dekhkar me ye sochne pr majboor ho gyee thi ki aisi to kya baat hui jo iska ye haal tha maine turant gaadi roki or usse puchha ki bete maine aapko k e baar gaadi me school jaate dekha he fir aap aise kyu...? us ladke ki aankho me pani tha or vo sahemi si nazar se mujhe dekh rha tha .. maine uske sar pr pyaar se hath rakhkar apne sawaal ko dohraya.. pr vo mujhe aise dekh rha tha ki me uske sath kuchh galat ... means maar pit.. karungee. maine uska hath pakda or fir vo hath chhudakar vhi ek diwaar k peeche chhip gya jab maine use yakin dilaayaa ki me kuchh nhi karungee.. tab bahut der baad mere kafi kuchh kahne pr vo pass aaya or bolne lagaa ki didi mujhe bechna mat me aapko pareshaan nhi karungaa khana bhi nhi mangooga . bas aap mujhe bechna mat itna sunkar mere hosh ud gye meri aankho me aansu the maine use turant gale se lagaa liya or use samjhaya. ki me aisa kuchh nhi karungee or na kisi ko karne dungi.. but tum aise kaise..? tumhare mumny papa kaha he? vo rote- rote bola ki ve dono car accident me mar gye or me baar-baar khana mangta hu to mere uncle aunty mujhe bechna chahte he or vo ye bhi kahte he agar me vha rha to unhe mujhe propperty deni hogi agar mujhe bech denge to sab kuchh sahi ho jaayegaa to me ghar se bhaag kar aaya hu aap please kisi ko mere baare me mat batana or vo mere saamne hath jodkaar rone lagaa . ye saari baate sun kar me soch nhi paa rhi thi ki me use kya kahu bas meri aankhe bhi nam thi maine use gale lagaa liya or use kahaa aisa kuchh bhi koi aapke sath nhi karegaa or me use sath ghar le aayee. pr me ye sochne pr majboor thi ki bachpan me maa or baap ka hona kitna jaroori he varna jo maa or papa k aage pyaar jataate rishte hote he vo unke naa hone pr kitne jhoothe saabit hote he .. or aaj k samay me jo apne maa or papa se ye kahte ki unhone unke liye kya kiya he ye kahani sabab he ek.. ki unhone sath rahekar tumhe paal pos kar kaabil banaya he are jaraa sochkar dekho agar aapki kahaani is bachhe ki tarah hoti agar sath maa baap na hote to aaj aap yha hote kya? please care your parents and respect them....

Hindi Story by Nisha Rajput. : 111104059
New bites

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now