yeh safar bas chalta hi jaa raha hai, aur sirf chalta hi jaa raha hai. Ummeed hai toh bas zara si khushi ki, pata nahi yeh mann kyu itna khoya sa hai, hawao ki tarah bas behta hi jaa raha hai. Kuch log khete h sab samay ka khel hai, toh kuch log kehte hai sab kismat ka khel hai, koi koi kehta h jo takdir m h wahi hota toh koi kehta h insaan apni takdir khud likhta h. Ayse toh mann mein sawal hai bahut, lekin sahi jawab paane ki talaash shayad ab tak khatam nahi hui.
Kyu saari zindagi hum haste hue ni jee sakte?
Kyu harr koi hamaara dard nahi samajhta?
Aur jo dard ka haal puchne aate hai, woh sauda kar ke chale jaate hai. Mana ki zindagi hasaati hai, rulaati hai, na jaane kitne saare roop dikhaati hai. Yeh thodi si khushi ki talaash mein aur kahan kahan jaau main?