KARAM BHOOMI
Yahi hamari karam bhumi hai,
Kehte yahi ja rahe the vo.
Ab ya vo honge ya hum bharat me, gulami sehe ja rahe the vo.
Umar kam thi par jazba bada tha,
Unke honslon ka rutba bada tha.
Jo bhi ho awaaz uthani hai,
Bharat maa muqt karani hai.
Utho lado ab bahut ho chuka,
Kis kaam ki fir ye jawaani hai.
Kisi ko to ladna hi hoga.
Aaj nhi to ye tey hai, kal aakir marna hoga.
Nare gali gali me the,
"Inkalaab jindabaad"
Kanp gaye the shaasak bhi,
Aise veer bali pe the.
Has kr suli par sar rakhkar,
Naman kiya tha dharti ko,
Fir jb janam ho maa meri,
Aazaad saansein tu bharti
ho.