Ek tareeka seekha do yarr julaahe ,
zindagi ko pfir naye seere se bunna hai ,
sheshe patharo ke makaan to bahut dekhe
chand rishton se ab ghar banana hai ..
kitne chote hogye hai yarr dil ke darwaze
mujhe apne ghar ka darwaza khula hi rakhna hai ..
tinka tinka bikhar raha hai rishton ke mahal..
ab mujhe apne dil me inko panaah dena hai ..
koi tareeka seekha do yaar julaahe
pfir se rishton ko bunna hai .