Mein ek mard hu,
Jo ghar ke kaam kar leta hu.
Office se aakar
Bachhon ko padha leta hu.
Kabhi sabji le aata hu
Toh kabhi bartan maanj leta hu.
Jab man na ho uska
Toh khana bhi bana liya karta hu.
Ha mein mard hu
Jo aurat ko kuch zimmedari se aazad kar deta hu.