Yoon toh saath hai,
Fir bhi baatein mann mutabik hai,
Aapas main takraar hi nhi hai,
Kyuki dono k beech pyaar nhi hai
Duniya ki nazaro main saath hai,
Lekin dono apas main anjaan hai,
Kehene ko kisse hazar hai,
Fir bhi chuppi barkaraar hai,
Kehne ko zindagi bhar saath hai,
Fir bhi dafan kaafi raaz hai,
Duniya ki nazaro k liye haatho main haath hai,
Dikhne main shareer do saath hai,
Rooh ki haalat barbaad hai.
Tum hi kaho kya yeh sahi baat hai?