Agar kabhi mauka mila,
Toh ek dastaan likhunga,
Tere mere bepanah jazbaat likhunga,
Tujhe meri duaaon ka raaz likhunga.
Jo baatein kabhi keh na saka,
Woh har alfaaz likhunga,
Tere bina jo adhoora tha,
Use meri saans likhunga.
Tere chehre ka sukoon, meri zindagi ka itra,
Har pal mein tera ehsaas likhunga,
Aur agar mohabbat gunah hay,
Toh apne jurm ka ikraar likhunga.
Jo bhi likhunga, bas tera naam likhunga... 🌙❤️
-atul rajput