Hindi Quote in Poem by Kiko Xoxo

Poem quotes are very popular on BitesApp with millions of authors writing small inspirational quotes in Hindi daily and inspiring the readers, you can start writing today and fulfill your life of becoming the quotes writer or poem writer.

Vo khila hua phool
Jise samajh paya nah koyi,
Jise zarurat thi dhoop aur paani ki,
Use de paya nah koyi.

Phir bhi kyun shok manata hai log,
Jab woh phool dhang se khil paya na kabhi.

Kya unhe dikhta nahin,
Ki phoolon ko bhi parwaah ki zarurat hoti hai.

Par pidhi aur pratidoondita ke daud mein,
Woh kabhi samajh paya hi nahin,
Ki khila hua phool banne ke liye
Kuch cheezein ansuna karni padti hain.

Pata hai, dard hota hai,
Par usse karna padta hai.

Use karna padta hai kyunki
Use pata ki aakhir mein
Log sib ushi ko dosh denge.

Ki voh toh bhar hi tha to voh
Dhang se khila kyu nahi.
Ham agar use Pani aur dhup
Dete bhi nahi toh prakurtee
Toh use deta hai.

Isme ush phul ki hi galti hai.
Kuch dosh hai...
Jo aaj voh dhang se khila hi nahi.

Khete the yeh log mere kuch mitro ko(flower pov)
Par bhul jate hain yehi log ki.
Yehi toh the jin mein ashli dosh
Dusro ko bedhang sa bolkar voh khudi the bedhang.

Kuch nahi mere dost
Yeh sib tumhara aakad hai.
Ghamand hai yeh tumhara
Dushro ke prati nafrat tatha
Jalan ki Bhavna hai yeh.

Pata hai ki tum unke jaise
Nidar ,aapne aap mein khash,
Musibat ke samay kaise bina dare datee raha jaye, tumhe nahi pata.
Pata hai hume tum ishi
Hamare ishi swabhav se toh nafrat aur jalte ho.

Par mere dost pharak nahi padta hame.
Kyunki ish prakriti ne hame hamara mahatov samjhaya hai.
Isne hame is sansar mein hamari
Mahatwa akanksha ka mahatva bataya hain.
Tum hame samajh nahi paye to kya?
Is sansar, prakriti, Ishwar aur hamne toh
Samja heina khasiyat ko.
Isliye main khato hum dosto
Khene do jise Jo khana hai!
Kyonki jisne tumhe banaya hai!
Voh janta hai ki tum kimti ho!
Kyunki usne aapna dil,vakt tatha apna viswash tumhe pradan kiya hai!

Hindi Poem by Kiko Xoxo : 111998875
New bites

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now