Kuch hakikat jindagi ki aishi bhi......
.
Tha mein nind main or muje itna sajaya ja raha tha.
bade pyar se muje nehlaya ja raha tha.
Na jane tha vah kounsa azab khel mere hi ghar mein, bacho ki tarah muje uthaya ja raha tha.
tha pass mera har apna us vakt,
phirbhi main har kisike man se bhulaya ja raha tha.
jo kabhi dekhtein nhin the meri taraf mohabbat ki nigahon se,
unke dil se bhi pyar muj pr lutaya ja raha tha.
Na jane kyun heran tha har koi muje sote dekh kr,
jor jor se ro kr muje jagaya ja raha tha.
kanp uthi rooh bhi meri vah mnjar dekh kr,
jahan mujako hamensha ke liye sulaya ja raha tha.
mohabbat ki intehan thi jin dilo me mere liye,
unhi dilo ke hath main jalaya ja raha tha.
is duniya me koi kisika humdard nhin hota,
lash ko shmasan me rakhkar apne hi puchtein hai or kitni der lagegii.