Kaun kise pukaar rha hai ????
waqt to aaj bhi thahra hua hai ,
ret ka ghar bna ker apne hi hath todti hun
aaj kal ye maine kaisa silsila bna rkha hai
chaand ko hatheli pr rakh roshini talash rhi thi ;
ye kaisi zid thi ki apne hatho ko jala rhi thi;
bada sa dil liye sabka dard sametne nikali thi ;
aur khud aansu ka dariya baha rhi thi ,
Dekho na , yaha kaun kise pukaar raha hai ?