Wo bahre hai magar, unko sunana bhi
zaroori hai ....
hume haq chahiye , apna jatana bhi
zaroori hai ...
koi bhi dastan ya kahani ho , bs itna
samjh lijiye ...
haqikat hi nhi kaafi , fasana bhi ...
zaroori hai ...
bala ki tez aandhi me , bachane ke
liye khud ko ...
ghadi bhar ke liye , sar ko jhukana bhi
zaroori hai ..
haqikat me badalne se kb, inkaar hai
sapano ko ...
magar inke liye khud ko jagana bhi
zaroori hai ...
kitaabe -Ezindagi ne , paath hume
ye padhaya hai ...
banane ke liye khud ko mitana bhi
zaroori hai .