jeevan hamara hai kiraye ke saraye jaisa ,
ek din khali ye makan chhod jayege ...
nirdhan bhi khali jayege waha per ,
sara dhan yahi dhanwan chhod jayege...
shaah ho ya rustam ho yaad na karega koi,
jin din aap ye jahan chhod jayege ...
kintu , hum vaani putra jayege dhara se jb
apne kadam ke nishaan chhod jayege .