Guzarta hoon aaj bhi teri galiyon se main, waqt kahin ruk sa jata hai
Dil karta hai kuch maasom se sawalat
Na galiyan kuch kehti hain na dhadkano se kuch jawab aata hai
Ruk si jati hain yeh dhadkane bhi waqt ke sath Jab jab unn sath mein bitaye lamhon ka khayal aata hai,
Yaadon ka voh meetha pal hothon pe halki si muskurahat aankhon mein nami chod jata hai
Dhoondhta hai dil usse jiske hone se dhup mein bhi hoti thi chaaon
Intzaar hai to bas inta ki zindagi mein laut ke voh lamha fir kab aata hai...