Tere Bheege Badan Ki Khusboo Se
Laharen Bhi Hui Mastaani Si..
Teri Julf Ko Chhukar Aaj Hui
Khaamosh Hawaa Diwani si
Ye Roop Kaa Kundan Dahakaa Hua
Ye Jism Kaa Chandan Mahakaa Hua
Ilzaam Naa Denaa Fir Mujhko
Ho Jaaye Agar Naadaani Si
Bikharaa Hua Kaajal Aankhon Mein
Tufaan Ki Halchal Saanson Mein
Ye Narm Labon Ki Khaamoshi
Palakon Mein Chhupi Hairaani Si
Tere Bheege Badan Ki Khusboo Se
Laharen Bhi Hui Mastaani Si…
Teri Julf Ko Chhukar Aaj Hui
Khaamosh Hawaa Diwaani Si.......