Mein hun darpan…
Mein dekhu sabhi…
Lagta hai unko…
Koi na jaane manobhav ko…
Par… mein jaanu sabhi…
Kya lagta hai… tum logo ko…
Ki mein kuch jaan pata hi nahi…
Nahi… mere dost…
Mein esa nahi…
Kyunki… mein hu ek darpan…
Mein dekhu sabhi…
Mein dekhu voh…
Jo tum kabhi dekha na sakhe…
Na kuch dekhkar… aur samajhkar…
Par… tum apne aapko samjho gyani…?
Pharak nahi padta…
Tum manushya aapas mein…
Ek dusre ka kitna athas banao…
Ham sab samajh sakte hai abhi…!
Chalo…
Maine kaha diya…
Jitna mujhe khana tha… abhi
Ab… nadi ki bari…
Kyunki…
Jyada bolna toh…
Mere andar…
Kabhi tha hi nahi…
Mein hun nadi…
Par darpan ki tarah sant nahi…
Dekho hoga tumne…
Mera krodh prakartik aapda me hi kahin…
Kya… lagta hai tum…
Insaano ko ki hum…
Kabhi… kuch samajh pate hi nahin…
Hasi aati hai tum!…
Insaano… par jab tum…
Kahate ho ki khubsurti to…
Dil mein hoti…
Par tabhi jab baat…
Tumhari hoti…
Parantu baat jab tumhare…
Mitron ki hi hon…
Tab… tum… kehte ho ki…
Tum itna sajte ho…
Kyunki… tum bhi…
Jante ho… tum batsurat…
Ho kahin na kahin…
Kehte ho… tumhare vastra…
Ati chote hai jaise…
Hamare purvaj kabhi…
Pehente the hi nahi…
Kya bhul gaye ho…
Tum un mandir ki…
Divaron ko ki kaise…
Darshaya hai tumhare…
Purvacho ke kapdo ko hi…
Kyu? karte ho tulna…
Un logo ke kapdo se… jin logo ki…
Maan samaan toh kabhi thi hi nahi…
Kya tumhe chote vastro mein…
Aur gande kapdo mein… pharak nahi pata…
Yaha jaan bujkar… aapne aap ko…
Gadha sabit karna chahate tum sabhi!…