Kitne hi zamane beet gaye,
Raaton ki chup mein hum ne karwaton se dosti kar li,
Khawab aankhon ke kinare tak aaye magar tham na sake.
Hum ne lamhon ko thapak kar sulane ki koshish ki,
Magar neend rooth kar jaane kahan gum ho gayi.
Ae neend! hamari aankhon mein ab laut bhi aa,
Thaki hui palkain teri aaghosh ko taras gayi hain,
Rooh ki thakan tere lams ki talabgaar hai.

#Neend #Khuwab #UrduAdab #UrduPoetry #RomanticThoughts #DeepWords #Aankhein #Thakan #PoetryLovers #UrduQuotes #DilKiBaat #ReelPoetry #RomanUrdu

Urdu Shayri by Amir Hussain Shahid : 111997002

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now