Ab kaam hota to yaha hota
M bss waha hota jaha tu hota
Tu har jagh h
Har sabd m har us akshar m jo tere naam se hokr gujarta h
Har najam m wo panktiya dekhna jisme tu bilkul beith jaye aakr
Jo bss yaad dilati h teri un adtaion ki
Aksar jo karti h tu
Kuch harakatein jinhe krne se darti h tu
Mujhe malum h kabhi b chalu ho jata h sajna tera
Pr tu b khush hoti h jab mere liye sawarti h tu
Ab kaha dhudna padta h tujhe
Tu khud ba khud nikal ata h
Oss ke boondon ki trah patte ko chute hi hath pr fisal ata h
Najare ghuma kar pass b dekha dur b dekha
Pr ye waha tik gyi apne aap jakr jaha pr tere chehre jaisa dikha kuch
Ya tera chehra hi dikha
Aisa nhii h bahari chizo ko dekhne ki chah nhi h
Pr ab man or chah h to bss tujhe souchne ki tujhe samjhne ki
Jisse khush ho tu
Tere chehre pr muskaan aaye
Tujhe is trah dekh meri jaan m jaan aaye
Or u to ek dil hota h jo de chuka hu
Pr ky kru adat khrb h mere is dil ki
Ye tujhpr baar baar rokne ke baad b beimaan aaye 💗