Siskiyan leti hui ghum-geen hawao chup raho,
so rahe hain dard un ko mat jagao chup raho.
Raat ka patthar na pighlega shuaon ke baghair,
subah hone tak na bolo hum-nawao chup raho.
Band hain sab maikadey saaqi bane hain muhtasib,
aye garajti gonjti kaali ghataao chup raho.
Tum ko hai malom aakhir kaun sa mausam hai ye,
fasl-e-gul ane talak aye khush-nawao chup raho.
Soch ki deewaar se lag kar hain ghum baithe hue,
dil mein bhi naghma na koi gungunaao chup raho.
Chhant gaye halat ke baadal toh dekha jaayega,
waqt se pehle andhere mein na jaao chup raho.
Dekh lena ghar se niklega na humsaya koi,
aye mere yaaro mere dard-aashnaao chup raho.
Kyon shareek-e-ghum banate ho kisi ko aye
"Marshall" apni sooli apne kandhe par uthao chup raho.