Kyu na main suro se nikharu apna gala, naaki kimti haar se,
Kyu na main apne hisse ke waqt ka maan rakhu, naaki bandh lu use apne kalaayion pe,
Kyu na apne dil ko dena sikhadu naaki maangna,
Kyu na mai sikhadu naino ko dhundna khubsurti insaano mein, naaki dur aasman ke taro mein,
Kyu na pair uthne se pehle disha saavar lu, naaki 'Nike' ke jute,
Kyu na koshish karu ek behtaar insaan banne ki, naaki ek mehnga,
Kyu na hotho se aaj bayaan kar du ki 'pyaar hai tumse', naaki tere kabr pe,
Kyu na mahatva ka jo hai wo sab aaj kar lu, naaki jhut mut ka kehta phiru ke 'I am busy'
#Esteem