The Download Link has been successfully sent to your Mobile Number. Please Download the App.
Continue log in with
By clicking Log In, you agree to Matrubharti "Terms of Use" and "Privacy Policy"
Verification
Download App
Get a link to download app
Aansuon ki mehfil saji thi aaj, Tu phir zakhm khaane ko taiyaar hoja e dil, Kuch Ranjishe sunai de gai hai, Qaid se aazaad hojane ki -Anushka
Raat bhar tarsi Raat, Subah se milne ko, Lehrati hui nikli ab Subah, thak ke jab so gayi thi Raat, Ab tapti dhup me khadi thi Subah phir Raat ke intezaar mei -Anushka
Bada dogla hai ye waqt, khud to hai ghode pe sawar, aur mujhse hai umeed sabr ki -Anushka
Kadhghere mei khada tha bachpan waqt ki Adalat mei, Cheen gaya samay ka wo tukda uske takdeer se, Hoke berozgaar chal diya wo, Galiyon bhari yaadein apni potli mei baandhe hue -Anushka
Shabdo ki duniya me ishaare yuhi badnaam nahi, Nigaho se izhaar to kar dete hai, Mukar ke phir kehte ki maine to kuch kaha hi nahi
Zara si jaam se tum nasheman ho gaye, Chodo, 'Insaaniyat' ka nasha tum kaha jhel paoge! -Anushka
Badi masti suji hai in havaon ko, Khamosh rehne wali meri zulfon ko dekho kaise ched rahi hai!!
Aansu ke aansu pochte hue kaha paani ki bund ne, Jiski kismat me hi beh jaana likha ho wo rote nahi beh jaane pe!!
Sach hone ki khwahish liye jisne sone na diya, Aansuo ki god me wo khwaab phir phut ke roya hai aaj!!
Ik use hi mere gham se koi fark na pada, Mujhe bikhra dekh mere aansu bhi aansu baha baithe!
Copyright © 2024, Matrubharti Technologies Pvt. Ltd. All Rights Reserved.
Please enable javascript on your browser