Ha saabit kr diya tune ki mai saccha aashiq nhi,
Hm dono me bs mai galat aur tu sahi.
Ye baat thodi der me smjh aayi mujhe ki,
Mai ek jagah aur tu har kahi.
Wo band kitaabo wala ishq mera,
Duniya ko batana jaroori smjha nhi.
Ha saabit kr diya tune ki mai saccha aashiq nhi.
Wo choti choti baato me khushi dhundna,
Kuch na keh ke sirf tujhe niharte rhna.
Tujhe sayad lgta hoga bachkana,
Par mere liye tha wahi sahi.
Ha saabit kr diya tune ki mai saccha aashiq nahi.
Yaad hai tujhe jb Maine kaha tha ki,
Saath zindagi bitaani hai mujhe.
Tune kaha tha ki ha,
Rhenge hm saath yahi.
Ha saabit kr diya tune ki mai saccha aashiq nhi.
Kaise bhool jaau tujhe jb Maine kaha tha,
Ki bhoolunga tujhe kabhi nhi.
Ha saabit kr diya tune ki mai saccha aashiq nhi.
-ALFAAZ ✒💞..
#kavyotsav2