Mann ki azaadi kahan milti hai....
Ye prashan har baar mujhe tod sa deta hai
Jab jab mere astitva ko
Nari ho, seh lo keh k mita diya jata h
Tohfe, gehne sb h mre paas
Magar jab bhi apne liye
thoda sa samay maangti hu
Nari ho , parivar k liye hi tmhara samay hai
Keh k muj baandh diya jata hai
Mann ki azaadi kaha milti h....
Ye prashan har baar mujhe bechain sa kar jata hai...
Unche mahlon jaisa ghar hai mera
par jab bhi dehleez paar karne lagti hoon
ijaazat ki bandishein pairon mein zanjeer ban jaati hain
“Nari ho” keh kar mujhe khud se faisla lene se rok diya jata hai....
Shadi ki umra guzarti ja rahi hai
“beti ghar bitha rakhi hai”
“Nari ho, pehchaan pati se hi hoti hai”
yeh ek vakya jaane kitni ladkiyon ke sapne tod deta hai....
Mann ki azadi kaha milti hai.....
Ye prashan har baar har ladki ke dil par ghaav chhod jata hai.