Bade ko izzat mili, chote ko dular mil gaya,
Main beech mein khadi thi, mujhe bas intezar mil gaya.
Wo har baat par zimmedari, wo har mod par samjhauta,
Mera bachpan toh jaise, kahi raaste mein hi khota.
Ghar ki har deewar ko, maine khamoshi se thama hai,
Par meri apni pehchan ka, ab tak koi na thikana hai.
Badi galti kare toh 'nadan', choti kare toh 'bachi' hai,
Main karoon toh 'badatameez', ye kaisa qissa racha hai?
Sabki khushi ki khatir, maine apni zidd ko maara hai,
Muskaan chehre par rakhi, par dil andar se haara hai.
Sabki sunte-sunte, meri awaaz kahi kho gayi,
Dard se dosti hui, aur tanhai meri ho gayi.
Akelepan ki chadar odh kar, main raat bhar jagti hoon,
Apne hi ghar mein aksar, main mehman sa lagti hoon.
Na jaane ye masoom bachi, itna bojh kaise uthati hai,
Jo sabka sath deti hai, wo hamesha akela hi reh jati hai.
— Jyoti Singh