Abhi recently kisi ne mujse pucha ki ...
Anxiety kya hoti hai ?
To
Jawab mein mene kaha ki,
Jab kuch hone main der ho jati hai or
Kuch pane ki doori thodi or badh jati hai..
Aankhe band magar sapne nahi aatey,
Ghar jis mein chain fanah ho jata hai..
Woh khamoshi jo samjayi nahin jati..
Woh akela pan jo dikhaya nahin deta...
Bahar sey sub theek hai magar ander na kuch or hi lagta hai..
Wo ghabrahat wo gussa...
Wo cheekhe..
Bahar ane ke jagah dil main hi tharak utthey...
Dil se nikle khoon main ek Darr hota hai..
Phir mera rag rag kehta hai...
Ki mera dil bechain hai..
Uss bechaini ko anxiety kehtain hai.