kabhi yah dua ki vah mera hai fakat?
kabhi yah dar ki vah mujhse judaa to nahin?
kabhi yah duaa ki use mil jaye sare jahan ki khusiyan?
kabhi yah dar ke vah khus mere bina to nahi?
kabhi yah tamanna ki bus jaaun uski nigahon main ?
kabhi yah dar ki uski nigahon ko kisi or ne dekha to nahin ?
kabhi yah Khwahis ki jamana milna chahe use ?
kabhi yah vahem ki vah kisise mila to nahin ?
kabhi yah aarju ki vah jo mange mil jaaye use ?
kabhi yah vas vasa ki usne mere siwa kuch manga to nahin ?