ek achhi beti ka apne premi ko javab :
ha ye sach hai ki muje tumase mohabbat hai , ye bhi sach hai ki mai tumhari chahat hun..par meri jindagi mai chahato ki kami to nahi..rishate aur bhi hai ek tumhi to nahi...
apni jaat ke iss pehlu se aaje mai tumhe milvaati hun...
mai kya hun kaise batau tumhe. !!
apni "maa" ki tabiyat hun mai ,
ijjat hun mai apne "papa" ki ,
maan hun apne "bhai" ka ,
nishaan hu apni "baheno" ki parchhai ka ,
to bahek jau mai ye kabhi mumkin hi nahi ,
dil vo sab bhi rakhte hai , ek tumhi to nahi.