main ek naav mein
thodi si dhoop chhaanv lekar
kinaare se door nikla
ye vahi bhanvar thi jo bicho bich dhadak rahi thi
main bhanvar tak aaya
tab vaha vo bhanvar nahi thi
tab bhanvar ki jagah par
ek jazira tha
maine vaha naav lagaai
dhoop chhanv kinaare par hi khelne lagi thi
waha ek ped uga hua tha
ped par fal the
panchhi chahak rahe the
main kinaare se door jazire ke bahut andar aa gaya tha
mujhe kinaara yaad nahi
jab ek din main kinaare par aaya
waha ek naav tuti hui padi thi
kisi ki naav
koi awara bhatka hua chala aaya hoga
bhanvar me fansa
jazira dhundhta hua
RUSHIL