Main tanha, awara-sa toofano mein bas behta ja raha tha,
Na manzil ki sudh thi, na dishaon ka hosh,
Bas yun hi behta ja raha tha.
Tanhaiyon se ghira,
Zindagi ki maar se toota hua,
Bas behta ja raha tha.
Jaise doobte ko tinke ka sahara mil jaata hai, Waise hi tumhara
aana
Mujhe kinaare tak le aaya.
Suraj ki ek kiran-sa,
Tumhara saath meri raahein roshan kar gaya.
- Soumyaa Sharrma
- Soumyaa Sharrma