Zindagi aazmaishon ka Naam h
Jahan har mod par har rashton par kaante biche h
Ise paar karna har insan ke bass ki baat nhi
Lekin Ise paar karna bhi ek kala h aur uss kala ka naam sabr h, himmat h aur uss khuda par yakeen ka hona zaruri h
Kuch log haar maan jaate h par jo chalte jaate h asal me wahi jeet te h
Aur jo haar maan lete h wo wahi tham jaate h
Zindagi me kuch bhi asaani se nhi milta jo asaani se mil jaaye wo zyada dino tk nhi chalta
Aur jo mushkil se milta h wo qeemti hota h
Lekin har qeemti chiz humesha rhe ye zaruri bhi nhi hota
Kuch log qeemati chiz apni bewakufi ki wajah se kho dete h to kuch log apni ana ki wajah se
Lekin yaad rhe dosto ye dunya h yaha kuch bhi parmanently nhi hota