dur udd jaun gagan me pankh lagakar..... ek aisa ghar banaun, jahan khushiyan bina dastak ke aati ho... ek aisa ghar jahan gum ka naam bhi na janta ho koi..... ek aisi zindgi sajaun, jahan sirf aur sirf phoolon ki mehak ho.... kaanton ko to koi pehchanta hi na ho.... ek aisa aashiyan saja lun jahan sab kuch apna sa ho.... begano ka to jikr bhi na ho jahan... jahan har chehra muskurata hua nazar aaye.... khuda ki rehmat barse jahan..... jash ka aalam- sa bikhra ho har kone me.... jahan mere sapno ki rang ho deewaro par.... ek aisa ghar banaun jahan sab kuch mera ho... ek aisa ghar jahan mere apne khush ho..... ek aisa ghar jo ghar ke mayne batlata ho.... ek aisa ghar jo mera aur mere apno ka ho...