kabhi na socha tha ...
han me tumse pyar karti hu,
lekin kabhi na socha tha...
ki ek din me subah subah nind bhari ankhe kholungi aur samne tumhara hasta hua chehara dekhungi,
han me tumse pyar karti hu,
lekin kabhi na socha tha...
ki ek din me tumhare god me apna sar rakhungi, tum mere sar par hath sehlayoge aur me apni sari chinta bhula dungi.