Mujhe nhi pata ki kaun si hawayen ,
mujhe kis disha me le jayegi ,
na ye kahi mere bhagy me likhit tha ,
aur na hi maine ye hisaab lagaya tha....
Zor ki aandhi me kisi ped ka khade rah jana bhi uski kismat hai .....
yaha aazmaish to bas kismat ki hi hai ...
Tu kya sochta hai , sabar ker waqt ka
teri her soch ki aaj sunwai hai ...
ek min ka pata nhi aage kya hoga ...
aur log barso ki baten dil me rakhe hai ..
Bahut khush thi main ki sab kuch mil gya
achank se samjh aaya chand saanse bs baki hai ...
Ab kaho kaise rishte hai aur kaise nate hai
Bas hum hisaab hi to nhi laga pate hai .