Meri Diary
--------,
kitna aasan hai shayad ye kahna ki
main thik hun .......
kitna aasan hain na kuch baton ko bhula dena , andar hi andar tadpana aur pfir
muskura ker kahna , main thik hun .....
bahut aasan hai aankho me aansu leker hotho se nagme sunana aur pfir kahna
main thik hun. .....
khud ko saja ker mehfil me jana , itrana , ithlana has has ker logo se baten kerna
apne seene me uthte hue dard ko daba ker
kitna aasan hai kahna ... main thik hun ..
Ab to yakeen ker lo aasan hai kahna ki ....
main thik hun