Ab to ijazat de do na
----------------
tumhare sath chal saku kuch kadam
tumhara hath pakad ker shahar ke kisi kone me bas jaaun ...wo ganga ka ghaat ho ya samandar ka kinara , bs sath ho tumhara ....
Ab to ijazat de do na
----------------
wo kamre me adhjali mombatiyan, wo gulaab ki bhikhri hui pankhudiyan, wo rooth ker tera jana aur tere peeche peeche mera bhagna , dekho .... sab kahte hai tumse ...
Ab to ijazat de do na
----------------
mujhe tumhare paas aana hai , barso jagi shab bhar ye aankhe , kahti hai ab sona hai , mujhe hamare sapno ke parindo ko pankh dena hai , muskura do ab maan bhi jaao na
Bs ab to ijazat de do na .