Ek kashmakash si hai Man mei,
jane kyun kuch hulchul si hai.
kuch baatein hai karni,
kuch baatein hain sunni.
Ek Kashmakash si hai man mei..
Socha kai baar keh dun tumse,
Ankaha sa kuch hai Man mei.
Jane kyun kuch samajh na aaya,
Jab chaha ki kuch keh dun tumse..
Bin kahe hi na jane kyun lagta hai ,
ho gaya bayan tumhe in aankhon se..
Ek kashmakash si hai man mei
Jane kyu kuch sunna sa hai..
Har din nae savere ki tarah
Man mei naya ujala hai
bin kuch kahe tumhare,
in kaano mei jo gunjta sa hai.
Sunke aaj ye jana hai ki
Ek kashmakash si hai man mei!!