kahte hai shakht prashasan hai, mumbai shahar ke andar me
yadi ise prashasan kahte hai, to kya fark pulis aur bandar me
Manavta kho gayi pulis ki, chha gayi krurta chauki me
insan bhaga shaitan jaga, chhip gayi ekta khaki me
Mumbai wadala t t kshetra, chauki me gunda raj badha
Vijay singh ka jeevan harne, puliso me yamraj chadha
Na bam foda na gaay kati, uske hatho jajbato se
fir bhi vah pran viheen hua, shasan ke ghunso-laato se
Jab sans aakhiri ummeed aakhiri, paani ka vah mang kare
antim kshad tak vijay lada, aur pulis nahi ka raag bhare
Aa rahi sharm sarkar rajya par, jo kursi - kursi karti hai
ek ade hai paanch varsh par, ik aadhe-aadhe pe marti hai
Us maa ki halat kya jane, sarkar abhi tak soi hai
Patthar ho gaye netra mamta ke, jo beta-beta roi hai
Vishwas kare ab log kaha, kaise kah de sab gyani hai
Jyoti Prakash ki kalam kahe, dharti par sab manmaani hai
Tabdeel ho gaya vijay singh, maharashtra ke akhbaro me
shasan ki chauki se uth kar, chipak gaya deewaro me
Kanoon ke rakshak kanoon ke paalak, tumse hi duniya chalti hai
sarkar kare insaf vijay ka, aagrah janta karti hai
Dhanyawad