Apno Ko Rulane Ka Gham
Kabhi-kabhi hum unhe rula dete hain jo hamare sabse apne hote hain — aur dard is baat ka hota hai ki galti sirf hamari hoti hai. Jin logon ne hamare liye sab kuch tyag diya, unhi ke aansuon ki wajah hum ban jaate hain.
Hume sab pata hota hai, phir bhi kuch theek nahi kar paate. Pyaar bolne ki jagah chup ho jaate hain, ego ya guilt se. Aur woh log, jo kabhi apne nahi the, unke liye hum izzat aur pyaar sab de dete hain.
Kya hum itne hi beparwah ho gaye hain?
Jinse hum kabhi juda nahi ho sakte, unhi ko hum dard de rahe hain.
Bas itna keh paate toh shayad sab kuch sambhal jaata: .
"Main aapse pyaar karta hoon...mujhe aapki zarurat hai. Bas hamare liye jee lo" Par jab hamara har kaam unne rulata hai toh kese bol de
Par ab bhi der nahi hui hai.
Unke aansuon se pehle unka haath thaam lo...
Kya pata, ek muskaan unka sab kuch wapas laa de.
Thanks for reading my thoughts
Have a Nice Day
#realife #thought of love #gulit #love #life