kaya kare hum ladkiya hai jara sa hase tum tana sunte hai tume paraye gar jana hai.. gar ka kam sikho tume paraye gar Jana hai..jince shorts pahente hi ..dupatta karo tume paraye gar jana hai..bahar ghumne Jana hai.. sadi ke bad pati ke sath ghumna.. kal tume paraye gar jana hai..itna mackup mat karo.. kal tume paraye gar jana hai.. kha pike moti hoti jari ho.. thoda vazan kam karo paraye gar jana hai..apni awaz nichi rakha karo kam bola karo paraye gar jana hai..saj dhaj ke laxmi banke ai vo gar.. kapde, bartan, jadu poccha uske singar bane..
kukkd ki tara jagke usne gar ko sabhala gadho ko bhi saram ai jab usne par har insan ko khushkarne ke liye majduri ki sara kam kiya...4 divar ke undar us orat ki ghutan bandh ke reh gai ... galiya khai...mar khai ... tane sune.... log puchhte rahe kesi ho acchi hu kahke kone me jake roti rahi ...pati kahta hai tume kam kya hai pure din gar me hooo...?na kam ki ijjat hai na tumari nokari ki...sas bole gi mera beta thak jata hai..
apne ma bap ko vo suna nai sakti apni kahani kayuki sasural hi ab uska gar hai... man karega tub pati gussa karega .. nikal ja mere gar se .. sas kahegi asa hota rahta hai gar me use gussa aya tha... orat ko hi sahna padta hai....
kaya kare vo bichari orat na sukun hai na ijjat hai na kadar hai fir bhi hasti hai...kone me roti hai...har orat kahina kahi..bahot kuchh sahti hai...tum Jake ak admi ka gar basta hai... fir mi bada besharm hoke vo orat ko hi kosta hai..
-Ami 'ANT'