ek baat bolu....
jab main chota tha tab rashan ki dukaan main jaya karta tha,
apne gaou main,
tab badi si line lagi hui raheti thi,
aur agar rashan khatam ho jata tab tokan diya jata tha ki ab kal is tokan le ana jab number ayega to rashan milega,
aaj me Smashan Main tha aur Sub(mrit deh) Ko jala ne k liye tokan bate ja rahe the...
ek tokan wo thi jisme zinda rahene k liye thi aur ek ye tokan hain murde ko jala ne k liye thi....
hay ishwar ye teri kon si lila hain jisme tere apne hi basaye hue ghar ujjad rahe hain.....