Saj dhaj ke maayke ke sath ek aur dehliz bhi langi ho
Sapno ki bhaari fenk do kyuki tum ab bahurani ho,tum is ghar ki rani ho
Dhire dhire samj jaogi ki subah wali sirf ek chai ki pyali ho
Nind khulte hi chahiye hogi fir bhi rekdiyo ki chai se thodi kam nirali ho
Tum ab bahu rani ho tum is ghar ki rani ho.
Har ek ki kahani ko sajaogi firi bhi sawarna paogi
Rango se bhari ek berang si khamosi bhari jubaani ho
Tum ab bahu rani ho tum is ghar ki rani ho
Kitna bhi kr lo kam fir bhi kabhi na thakne wali ho
Khud ki khushi bhulake sab ki khushiyo ki rakhwali krne wali ho
Tum ab bahu rani ho tum is ghar ki rani ho
Dard se tadapkr bedard bnke ghumti ek ansuni kahani ho
Siskiyaye dbaakr nahate waqt behta hua ashqo ka pani ho
Tum ab bahu rani ho tum is ghar ki rani ho
Kabhi na sunai denewale dafn huve lafzo ki nishani ho
Roshan krte huve diye ki jli hui baati ho
Kisi or ki ban ke reh gayi benaam si wo parchhai ho
Tum ab bahu rani ho tum is ghar ki rani ho
Har ek ko bhaye aesi pyari si gudiya rani ho
Tum ab bahu rani ho tum is ghar ki rani ho
-Aisha annie