🌿 "Ek Saadi Si Khwahish "
Kabhi-kabhi kuch logon ka sapna sirf ek simple si life jeene ka hota hai.
Ek aisi zindagi jismein hum ho, hamare apne ho,
jinse hum khul ke baatein kar sakein,
jin ke saath waqt bita sakein,
jin ke saath baith kar ek thali mein khana kha sakein,
aur shaam ko bas ye poochh sakein —
"Aaj ka din kaisa tha?"
Bas… itna hi toh chahiye hota hai.
Lekin kuch logon ke liye ye simple life bhi ek sapne jaisi hoti hai.
Usse paane ke liye unhe itna kuch jhelna padta hai,
itna kuch khona padta hai…
aur phir bhi, wo kabhi mil nahi paati.
Kyuki logon ko bardaasht nahi hota
ki koi sirf aam si chhoti-chhoti baaton mein kaise khush ho sakta hai.
Aaj ke zamaane mein
logon ko sab kuch chahiye —
naam, paisa, shohrat, dazzle.
Aur jab koi in sab ke bina,
sirf apno mein hi sukoon dhundhne lagta hai,
toh wo log jalne lagte hain...
Aur dheere-dheere,
hamari zindagi ko narak bana dete hain.
Ek simple si life ke liye
Ek baap puri zindagi kharch kar deta hai,
Ek maa apna pura atmasamman koh deti hai
Aur phir bhi usse wo saans nahi milti
jiski usne khwahish ki hoti hai.
Kabhi-kabhi toh lagta hai…
shayad is duniya se chale jaana hi behtar hai.
Kyuki dil, dimaag, rooh sab thak chuke hote hain.
Kya maanga tha?
Bas thodi si baatein,
thoda sa waqt apno ke saath,
thodi si hansi-mazaak…
aur bas itna hi.
Lekin usse paane ke liye bhi
khud ko itna ragadna padta hai
ki aakhir mein kuch bacha hi nahi —
sirf thakaan aur tootpan ke alawa.
#life #SimpleLife #reality #struggle