Meine hamesha chand ko dekh k uska mazak udaya karta tha. K dekh meri jaan ko vo tujhse zyada khubsurat hai. Aaj Yuhi lete lete khidki se jhaak raha tha to chand ki nazar mjhe pari aur vo bhi hans diya aur bola. Bari tarif karte the apni jaan ki kaha hai aaj kal vo mahino beet gaye hai. Meine apni palke jhuka li. Chand bola mein jaisa bhi hu 15 din baad tmse milne to ata hu. Bina koi sawal jawab k tmhe dekhta to rehta hu. Tmhara yaar to barso beet gaye lauta hi nhi apni duniya mein khoya hua hua tmhe yaad karta hi nhi.