Hindi Quote in Poem by Ankita Pradhan

Poem quotes are very popular on BitesApp with millions of authors writing small inspirational quotes in Hindi daily and inspiring the readers, you can start writing today and fulfill your life of becoming the quotes writer or poem writer.

Kahin rishton me taaumar woh gaath na pad jae
Usse behtar toh samay rehte woh ek daant hi pad jae
Isse pehle ke baat hamesha ke liye bigad jae kyun na ek dusre ke rubaru hokar hum ab hi sambhal jae
In khamoshiyon me fas kar kahin ye dor aur na ulaz jae
Kya khabar kahin baaton hi baaton me ye dor yun hi sulaz jae
Sach much agar apna mana hai toh thoda ruth kar thoda muh fula kar bhale hi haq jata liya jae
Magar yun muh mod kar ek dusre ka dil kyun dukhae
Man me khalish rakh yun ghut ghut kar kyun ye rishtien nibhae
Usse behtar ek baar man ki iss kadwahat ko man se hothon tak laa sachai ka ek ek jaam piya jae
Aaj agar waqt se haar kar nahi waqt ka saamna kar samay rehte ye samajh jae
Ki rishton ko khone ke darr se kahi ye chupi un rishton ko hi khokhla na kar jae
Aisi naubat aane se pehle kyun na sarghoshiyon me in shikwoh ka zikr kar diya jae
Beshaq ek dafa khul kar ladh hi liya jae
Taaki,
Kahin rishton me taaumar woh gaath na pad jae
Usse behtar toh samay rehte woh ek daant hi pad jae

Hindi Poem by Ankita Pradhan : 111755920
New bites

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now