Ye jo aansu hai na kahi bhi kabhi bhi gir jate hai ... sach use bilkul bhi samjh nhi waqt ka ... shayad use waqt se hi shikwa hai
tabhi to aansu waqt nhi dekhta ....use raat din ka khayal nhi ... wo to bs jaise chahta hi nhi ki aankho me kajal ruk bhi jaye ...
jane kitna sukh milta hai use kajal ke sath ghul kr bahne me .....
aansu ... ise to na apne maan ki chinta hai na apmaan ki bs jaha dil chaha waha nikal pade ... pyar se anjaan jaise roz ek nayi talaash pr nikalta hai ...
ye aansu sach kitni imaandari se aankho se apna rishta nibha rhi hai .