KARAM KATHA
Aaj jo karna hai tujhe , bezizak wo kar,
Zindegi hai char pal ki, ek suhani safar
Kya laya tu, kya payega, kya khone ka hai dar,
Is dharti pe sab kuch chore, jayega tu ghar.
Kyun aisa soch ke tu yun dil pe thoke keel,
Apne andar jhaak ke khudse aise hi tu mil
Tu bhi zara mehsua kar, kya kahta hai yeh dil,
Kya hai tera kaam yaha aur kaha hai manzil.
Waqt guzarta jae yuhin fir kyun hai itna gam,
Dusro pe yeh dhyan lagao khudki socho kam,
Unki ansun se agar tera ho ankhen nam,
Fir tu saccha insaan banega, mit jaegi bhram
Ishwar ka hai sara duniya, hum to hai mehman,
Is shristi ko naman karo tum, karo inki samman,
Sab me sunao prem katha tum, sarthak ho balidan,
Aaj ki yuva hi sakti hai, unki badhao maan.
Dharti pe yun bojh na ban tu, karke dikha kuch kaam,
Samay pe samay pe deta ja tu ek accha parinam.
Din pratidin me subah se lekar dhalne do tum sham,
Apne wade pura karo tum, unko do anjaam.
Aaj bhala mai kahta hun jo pura karo he veer,
Desh pe saccha kurbani me tod do zanjeer,
Mukt karo sabki lachari, sadho apna teer,
Aise hi yeh desh khilega, yudh bhi hogi stheer.