Suni Suni Dagar Ujda Ujda Chaman
Bin Tere ye na mehkega Mashke Khutan
Tut kar jaise gir jayega ye gagan
Meri Maa Tu hai Jannat mein Mashko Magan
Kaise Tujse kahu Fir se aaja yaha
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa Sabr karta to hu Sabr aata nahi
Samne Teri Surat koi lata nahi
Tera paigam ab koi lata nahi
Darde Dil haye Mera bhi jata nahi
Kisko Apni sunayenge Ham dastan
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa Qabr Teri bane Ek umda Chaman
Tera maila na ho Ta-Qayamat Kafan
Soti reh jaise soti ho koi Dulhan
Ye Dua karte hein sare hi Mardo Zar
Tujko mil jaye Jannat mein behtar Maqam
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa Ye to mumkin nahin bhul jaun Tuje
Raat Din fiqr hai kaise paun Tuje
Dil mein kya hai Tamanna bataun Tuje
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa Meri Maa Teri mamta pe qurban mein
Bhul jaun na Maula ka Farman mein
Yad kar kar ke ho jaun hairan mein
Tujko padh padh ke bakhshunga Quran mein
Tere bete gute Aur Tu uski Maa
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa
Writer By Mohd Arshman