main bhul gy
Dekha khubsoorat duniya ko,
main palkain jhapkana bhul gy.
Bigada waqt gandgi dekh kar
muh bigadne me,
zara sa thaher mein use saaf
karna bhul gy.
Duniya ki gerzimmedariyan dekhne me,
main apni zimmedariyan bhul gy.
Dusro ko aaina dikhate dikhate,
main khud me jhankhna bhul gy.
Diya dosh sabko apni lachari ka,
par taali ek hath se nahi bajti
ye bat main kaise bhul gy?
Kabhi beti ban ne k chakkar
me bahu ban na bhul gy
to kabhi bahu ban ne k chakkar me
main MAA ban na bhul gy.
Rishton main khud ko itna uljha diya
ki main khud ko sawarna bhul gy.
dusro ki khushi se jal gy main,
khud me khushi dhundhna bhul gy.
Pyaar pane ki bhukh me,
main pyaar dena bhul gy.
Duniya sudharne ki chah me,
khud ko mouka dena bhul gy.