aoo na tumhe ek kahani sunau
ha apni hi zubani sunauu
nahi nahi
heer ranjhe ki nahi
laila majnu ki bhi nahi
Bas
aoo na tumhe ek kahani sunau
ha apni hi zubani sunau
Kahani
sard mausam ki
shakhon' se toote sookhe patto ki
vasant mien khile phulon' ki
unn shaamon' ki
jinmein chandani nahi, ragni nahi
subho ki jinmein suraj nahi, roshni nahi
aoo na tumhe ek kahani sunau
ha apni hi zubani sunauu
purane khat ki
sukhi padi qalam ki
or, banjar dil ki
bheegi takiyo ki
laal choti moti ankhon' ki '
sisakti garam anhon' ki
aoo na tumhe ek kahani sunau
ha apni hi zubani sunauu