Tapti hui garmiyon ki hawaon mein,
raahon par koi anjaan sa humsafar mil gaya
jo khud to kuch na bola,
par meri thakki rooh ko halka sa sahara de gaya.
Kal tak jo kalam mere haathon mein bejaan si thi,
aaj usi ne meri ungliyaan tham kar
labon par nayi umeed ki syahi utaar di.
Pata nahi dil ka rang itna halka kab ho gaya,
kab apne hi sanam pe dil girvi rakh diya
aur khud se door chala gaya…
Mujhe ab is khel-e-ehsaas ka matlab koi na samjhaaye,
ishq ka raaz to tabhi khul jaata hai
jab aansu chupke se muskaan ban jaaye.
Bas tu hi hai
jo mere khayaalon mein
Raam ki tarah pavitra,
aur duaon ki tarah narm ho kar,
har roz mere kareeb se guzar jaata hai.
_Mohiniwrites