English Quote in Thought by Iffat fatma

Thought quotes are very popular on BitesApp with millions of authors writing small inspirational quotes in English daily and inspiring the readers, you can start writing today and fulfill your life of becoming the quotes writer or poem writer.

Maa kya thi sacchae tere angan ki ,
Jo char kadam bhi na chal payi....


Tu ne samjhaya tha , har kadam main phool bich jayenge tere , ,
agar zindagi main sabar tu sikh aayi....


Teri bato ka maan rakh kar Humne sikha sabar , , , lekin teri beti gungi hai bol kar ghar se bahar phek di gayi....


Socho yeh hota raha mere saath phir bhi main muskurayi.....lekin tere sikhae sabar ko main na bhul payi...


Jish ghar main jakar maine apna ghar tha basaya....jab usi ghar ne meri kadar na ki toh main chal padi ush rah par jo kabhi thi mere jeevan ki sacchae.....


Yaha tak pahuchkar maine tha socha ki , ab ho jayega meri zindagi main Sab pehle jaisa....


Lekin shaadi sudha ladki par laga tha chode jane ka chita....


Aise main jaha jaha main gayi , , bas ek hi sacchae nazar aayi.....


Pinjra mayke ka ho yah sasural ka , , sone ka ho yah chandi ka.....zanjir toh mere pairo main har bar mere apno ne lagae....

English Thought by Iffat fatma : 111951572
New bites

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now